Best Urdu Poetry in Urdu
This website has a great collection of Urdu Poetry. Updates Urdu Poetry Regularly.
Sunday, 19 April 2015
Saturday, 7 February 2015
Friday, 2 January 2015
Baat Din Ki Nahi Ab Raat Say Dar Lagta Hai
Baat Din Ki Nahi Ab Raat Say Dar Lagta Hai,
Ghar Hai Kacha Mera Barsaat Say Dar Lagta Hai,
Tere Tohfay Nay To Bas Khoon K Aansoo Hi Diye,
Aye Zindagi Ab Teri Har Saugaat Say Dar Lagta Hai,
Pyar Ko Chorr Ker Tum Aur Koi Baat Karo,
Ab Mujhay Pyar Ki Har Baat Say Dar Lagta Hai,
Meri Khatir Na Wo Bandnaam Kahin Ho Jaye,
Iss Liye UsKi Mulaqaat Say Dar Lagta Hai...!
Monday, 17 November 2014
Tuesday, 23 September 2014
Thursday, 1 May 2014
Thursday, 27 March 2014
Kabhi Khud hi Mere paas aa Meri Baat sun Mera Saath de
❤ ❤ Kabhi Khud hi Mere paas aa,
Meri Baat sun Mera Saath de ❤ ❤
❤ ❤ Jo Khalish hai Dil se Nikal ker,
Mujhe Uljhano se Nijaat de ❤ ❤
❤ ❤ Tujhe Sochna Mera Mashghala,
Tujhe Dekhna Meri Aarzoo ❤ ❤
❤ ❤ Mujhe Dil de apne Khayal ka,
Mujhe Karb ki ek Raat de ❤ ❤
❤ ❤ Meri Zindagi Mere saath chal,
Mere Haath mein apna Haath de ❤ ❤
❤ ❤ Mujhe Ghum bhi Khushi se Qabool hai,
Jo Tu agar Mera Saath de... ❤ ❤
Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero
Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero
Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero
Tark_e_tal’luq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero…
Tumhe jb kabhi milain fursatain meray dil se bhoj utaar do
Tumhe jb kabhi milain fursatain meray dil se bhoj utaar do
Main bht Dino se udaas… hoon muje koi shaam udhaar do…
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do …
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khad-o-Hal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do
Tuesday, 11 March 2014
Jab Raat Bohat Ho Jaati Hai Aur Dil Ki Tanhai Barhti Hai
Jab Raat Bohat Ho Jaati Hai Aur Dil Ki Tanhai Barhti Hai,
Ik Shakh Bohat Yaad Aata Hai Hum Yaadon Mein Kho Jaate Hain,
Jab Tanha Baith K Khawabon Ki Ik Duniya Dil Mein Basate Hain,
Kuch Sapne Sach Ho Jaate Hain Kuch Sapne Toot Bhi Jaate Hain,
Jab Yaaden Had Se Ghuzarti Hain,Ik Ajeeb Tamasha Hota Hai,
Kabhi Hanste Hain Kabhi Rote Hain AUr Pagal Se Ho Jaate Hain,
Jab Dil Ki Dharkanen Poochti Hain Kyun Raat Gaye Tum Jaaghti Ho?
Hum Ro K Chup Ho Jaate Hain Aur Jaane Kab So Jaate Hain,
Dukh dard ki kitaab aur hai Tera mera hisaab aur hai
Dukh dard ki kitaab aur hai
Tera mera hisaab aur hai
Tu kiun khod ko kisi aur sey tashbeh deta hai
Chambeli aur hai, gulaab aur hai
Hum’ein aik dosrey key liye khol key roney bhi na dey ga
Yahan muhabbat mein zamaney ka dastoor aur hai
Mein tum ko bhol jaon ye mat socha karo
Muhabbat aur hai ishq aur hai
Mujhe lagta hai ik pal bhi tumhare bin saza jese
Mujhe lagta hai ik pal bhi tumhare bin saza jese,
Tum aatey ho to ho jata hai dil ko aasraa jese,
Tumhari zindagi me ab hamari hesiyat kya hai,
Puraney taaq mein rakha hua koi diyaa jese,
Samaat deti rehti hai mujhe tanhai mein dhoka,
Mujhe aksar laga ke tum ne kuch mujhse kaha jese,
Yaqeen mujh ko nahin is ka magar aksar yeh lagta hai,
Ke peecha kar rahi ho mera koi bad'duaa jese,
Shab-e-tanhai mein yadain teri yun jagmagati hain,
Hatheli per meri rakha ho ik roshan diya jese,
usey bhi mujh se wesi mohabbat ho tu kya baat hai
usey bhi mujh se wesi mohabbat ho tu kya baat hai"
Ek si dono ki halat ho to kya baat hai
Dil ki chahat to khuwab jaga deti hai
Han agar saath mein Qismat ho to kya baat hai
Meri tanhaiyan karti hai tujhe yaad"
Sada usey bhi meri zaroorat ho to kya baat hai"
Muskurane se bhi hota hai bayan gham-e-dil"
AAnkh se aanso tapke to kya baat hai"
Neend to dard ke bistar pr bhi aa jati hain"Wasi"
uske Aag0sh me Sar ho to kya baat hai"
Subscribe to:
Posts (Atom)